"kaya yehi pyar hai" ek gazal pyar bhare ahsaao.n ke saath

Thursday, December 25, 2008

teri ankhon mein kaisi masti hai
Doobi - doobi si dil ki hasti hai.
*
Pyar se tu ne jab mujhe dekha
Mahki - mahki ye dil ki basti hai.
*
chaand se bhi lage mujhe roshan
chaandni tujh pe yun barasti hai.
*
Ik jhalak teri dekh-ne ke liye
Har ghadi ye nazar tarasti hai.
*
Jane kya ho gaya "Sunita" ko
Aaj kal woh akele hansti hai.

"Pyar Ki Intihaa"

Wednesday, September 24, 2008

Teri surat ko aanko.n mein basa rakha hai
Pariyo.n ke desh mein ghar bana rakha hai

Aakar mere pyar ki intihaa to, tu dekh zara
Teri raho.n mein palkoN ko bicha rakha hai

Tere nakash-e-kadam par sajde kiye maine
Khuda ki jaga teri tasveer ko sajja rakha hai

Tere siwa aur nahi kuch bhi chahiye mujhe
Esi liye khud ko zamane se judaa rakha hai

‘Sunita’ ki har gazal mein tera hai zikar aaye
aur tune usko abhi tak gair banaa rakha hai.

"Yaad Aaye Bahut"

Saturday, August 23, 2008

“toot kar jo hum bikhrey to gabraye bahut,
teri bahho.n ke sahaarey yaad aaye bahut,

hatheli par rakh ashq, jo tumne choom liya,
hua afsos! Ab tak yeh moti ganvaye bahut,

muskil mein kyu koi haath na thaam saka,
kahne ko to dost humne bhi banaye bahut,

jane kaya tha uski udhaas si aanko.n mein,
woh jab bhi yaad aaye hain, rulaaye bahut,

umr-e-jawani apni kyuN tanha hi beet gaye,
yeh khalish abhi tak hai dil dukhaye bahut,

mazhabi junoon mein, sarhad bana daalii,
Phir apne faisley pe haiN pachtaye bahut,

kis kis ko batauN apnii udhaasi ka sabab,
ki “Sunita” ko ek pardesi yaad aaye bahut.

"Jaan Lijiye"

“Bepanaah hai mohabat aapse jaan lijiye,
nahi hai jara bhi fareb sach maan lijiye,

yoon to har koi jatlaye hai aapse pyar,
hai kahaN saachi wafa pahchaaN lijiye,

mushkil nahi bahte dariya ka rukh modna,
sab-kuch aasaaN hai agar thaaN lijiye,

jis shajar taley paya saakoon do pal,
umr bhar ke liye uska ahsaaN lijiye,

ki hai ab talak pathro.n ki bhi pooja,
ho gai ab “Sunita” bhi be-ImaaN lijiye

"Ji Bhar Ke Hum Pyar KareN"

Bhiigi si raat ko aur kushgavaar kareN,
Aao ji bhar ke hum pyar kareN,

Tum mujhe bahho.n meiN bhar lo,
Mohabat ka aaj eqraar kareN,

Samma jayeN dhadkne dhadkan.o meiN,
Tan-man ek dooje par nisaar kareN,

Yeh pal hum kabhi bhulla na payeN,
Yoon diwaNgi ka izhaar kareN,

Bahki saanso.n ki sargoshi se “Sunita”
Waqt ka chalna dushbaar kareN.

"Kaisa aaya SAWAN"

Kaisa aaya sawan,
Jale mera badan,

Sun mere sajan,
Kab hoga Milan,

Mere sune aaNgan,
Baras gaya sawan,

Aaye yaad sajan,
karuN ka yatan,

na khanke kaNgan,
na bahka joban,

rahe rote nayan,
aaya na sajan,

hua na Milan,
gaya beet sawan.

"Milan ki Raat"

Aaj ki raat humey neend nahi aayegi,
Baato.n mei.n hi sarri raat gujar jayegi…

Dheere se denge jab wo dar pe dastak,
Saans meri seene mein thehar jayegi…

Utha denge jab wo rukh se naqaab mera
Chahre pe hayaa ki surkhi bikhar jayegi…

Unki baaho.n mei.n mil jayegi zannat hame
Kushi hi kushi hogi jidhar nazar jayegi…

Kaise beetygi wo milan ki raat'sunita'
Yehi soch kar zindagi sanwar jayegi...

Dard chup chup kar paltey hoNge

Tute hue dil bhi kabhi judtey hoNge,
Be-wafa bhi kabhi wafa karety hoNge,

Gum nahi jo mujhe bhool gaye woh,
Baad mere kisi aur ko yaad kartey hoNge,

Phool to shamshan.o mein bhi khiltey hoNge,
Magar mahke bina hi murja jatey hoNge,

Chorr apna desh jo ja base haiN pardes,
Unhey apne kaha begane hi miltey hoNge,

Loot ke le jaye jab koi neend ankho.n se,
Phir anko.n mein khaab kaha paltey hoNge,

Kabhi na socha tha zindgi ke safar mein,
Mujse juda kabhi uske rastey hoNge,

Hanstey muskuratey chehro.n mein “Sunita”
Dard chup chup kar kahi paltey hoNge.

Kaash tum aa jate"

Aaj kuch waqt ke liye paas mere, kaash tum aa jate,
Bahut tanha hoon main aaj, kaash tum aa jate,

Kabhi khud ko etna kamjor na hone diya maine,
Par aaj bikhar gaye hoon main, kaash tum aa jate,

Tumhi se milta hai housla harpal mujhe,
Chahiye aaj bahho.n ka sahara, kaash tum aa jate,

Barso.n se jee rahi hoon bin tere “Sajan”,
Aaj nahi guzar raha ek pal, kaash tum aa jate,

Waqt ki raftaar bhi jaise thum se gaye hai,
Thum na jaye “sunita” ki nabaz, kaash tum aa jate.

Tanha Zindgi ka Shikwa....!

Kaise kahu ki hai yeh bikhrey se halaat kyu,
Kal talak jo apna tha hai woh aaj paraya kyu

Woh halaat ki majboori se chahta tha mujhe,
Phir harpal usne aapna pyar jataya kyu……..

Khabar thi usko ki ho jayega juda ek din,
Phir harpal woh mere kareeb aaya kyu……..

Gar usne bhi ek dard dekar hi jana tha,
To ab tak mere jakhmo ko sahlaya kyu…….

Gar yu tanha chorna tha rahey-safar mai.n,
To ab tak haath pakad chalna sikhaya kyu...

Aapna pyar kuad gair ko de hi diya hai jab,
To phir ab nadaan dil bhar aaya kyu…………

Kyu na shikwa karu tanha zindgi ka us se,
Zamane ka har dard “Sunita” ke hissey aaya kyu..

Apne desh aa to sahi

apne seene se laga ke mujhe,
dooriya.n kabhi mitta to sahi,

na shikwa na gilla hai tujse,
mahfil mein hume bula to sahi,

kyu ulja hai sarhad ke bandhan mein,
ek baar desh apne aa to sahi,

kyu anjaan hai mere pyar se tu,
dil ko dil ke kareeb la to sahi,

dekh tu bhi mere saath haseeN sapne,
tanha raat meiN kabhi gunguna to sahi,

apni judai mein ek baar phir se,
"Sunita" ko tu rula to sahi,

“Aisa hunar yaar mei.N dekha”

Uske labo.n ko be-sadha* dekha, (khamosh)
yeh zulm mahfil mei.n dekha,

Bin piye kadam bahak gaye,
sakii ne jo muskura ke dekha,

Usne mujhe khumaar* mei.n chaha, (Nasha)
hosh mei.n dekha to khaffa dekha,

Kaise karu.n bharosa dosti ka,
dost ke haath bhi khanjar dekha,

Har kisi par dil luta dena,
aisa hunar yaar mei.n dekha,

Har koi apna lage yaha.n,
aisa jaddu uske shahar dekha,

Manzil na paa sakoge kabhi,
“Sunita” jo mud ke peeche dekha.

Dard di sugaat

De ke menu dard diya.n sugaata.n,
aaj oh has ke alvidha kah geya,

si majboor na rok saki maiN usnu,
hawa vich bas hath lahraunda rah geya,

kade khaunda si soha.n mere vishvaas diya.n,
aj ohi jaunda jaunda bewaffa kah geya,

usdi kushi laye main har dard seene la leya,
esi bahane usde pyar da karz seero.n leh geya,

vagan.ge hanju kar chetey usdi har gal,
ena aakha.n vich har khaab adhoora rah geya,

hun koi v shayri usdi mere naam aauni nahi,
"Sunita" naam bas purane safiya.n te hi rah geya

"PYARI BETIYA.n"

Ghar aangan mai.n cha-chahati hai.n pyari betiya.n,
Chidiyo jaise edhar udhar udti firti hai.n pyari betiya.n….

Ek aah ke saath janam leti hai.n pyari betiya.n,
Ek aah dekar hi phir chorr jatti hai.n pyari betiya.n…....

Ek maa hoon, mere paas bhi hai.n pyari betiya.n,
Zamane ki har kushi se pyari hoti hai.n pyari betiya.n….

Mere bachpan ki parchai hai.n meri pyari betiya.n,
Ghar mahak jata hai jab muskurati hai.n pyari betiya.n…

Mere adhoorey khaab purey karengi meri pyari betiya.n,
Mere dukh-sukh ki humdard hai.n meri pyari betiya.n...…

Bahut sapne sajate hai.n har maa-baap betiyo ke liye,
Dua karti hoon sadha kush rahey sabki pyari betiya.n...…

Doli mai.n beth jab sasuraal chali jayengi pyari betiya.n,
“Sunita” ko bahut tanha kar jayengi pyari betiya.n..…..

“ISHQ KA HUNAR”

kar husan ko tanha dikha aadam ka hunar gaye
muskurati aankho ko ashkon se bhar gaye.....

chhor teri galion ko jab ham door nikal gaye
thaa har jaanib tera hii charcha ham jidhar gaye......

pa to lete ham bhi mohabat ki manzil shayad
par aap sar-e-raah hi chhor safar gaye......

dhundha kiye hum unhe har gali har shehar
jalane ko dil hamara wo rakeebon ke ghar gaye.....

thii ab bhi kush shikayatain yaaron ko hamse
hamko thaa ye guma.n ki ham sudhar gaye......

suna na doon zamane ko daasta.n- e- bewafaii
isii dar se jaate jaate wo pila hume zehar gaye......

thaa wada ki "Sunita" waqt-e-rukhsat aaounga jaroor
leke khuli palkain hum intzaar mein mar gaye.....

Teri Be-rukhi

Aaj pheli baar teri be-rukhi pe hamne aansu bahaye,
Aaj pheli baar log hamari be-bsi par muskuraye....

Kabhi kiya tha tune vadha yunhi saath nibhane ka,
Aaj kiyon tu dekh ke mera dard nazrain churaye....

Kabhi hans hanske kiya karta thaa tu mera intzaar,
Aaj kiyon furast ka ek bhi pal mere hisse na aaye....

isay main anpi kushnseebi samjhu ya badnaseebi,
Ki mere dosto.n mein aaj bhi tera naam aaye,

Aaj bhi yaad aatey hain who beetey hue lamhe,
Ek ek yaad jungu ban aankho.n mein timtimaye,

Teri dosti to hai aaj bhi “Sunita” ko bahut aziz,
Chahey tu apne dosto.n mein na mera naam ginvaye

Barsaat ki bhigi raato mai......!

"barsaat ki bhigi raato mai phir koi suhani yaad aaye,
kuch appna fasana yaad aaya, kuch teri kahni yaad aaye,

hum bhool chkey thy kisney humey dunia mai akele **** diya,
jab gour kiya to ek surat janni-pahchani yaad aaye,

kuch pau ke chaley kuch aansu kuch gardey safer kuch tanhai,
us bichdey huey hum rahi ki ek ek nishani yaad ayye"

“Dard tumko bhi diya jaye”

Aaj phir tujhe yaad kiya jaye,
Ankho ko ashkbaar kiya jaye..

Bhooli baato.n ko yaad karke,
Bikhrey zakhamo.n ko siya jaye..

Nahi deta koi ta-umr saath,
Kisko safar-e-humraah kiya jaye..

Main bhi tanha woh bhi tanha,
Kyu na tanhai ko baant liya jaye..

Humne waffa ki hai bahut,
Ab bewaffi ka iljaam liya jaye..

Ujalo.n ke lutf uthaye hai.n bahut,
Ab andhero.n ka saath diya jaye..

Tumse dard liye hai.n bahut,
Ab ek dard tumko bhi diya jaye..

Be-ronak ho gaye har mahfil,
“Sunita” ab gumnaam ho jiya jaye

Kyu kiya khoon masoom ka ?

"Shama par chala mukadma parwane ke khoon ka,
Pucha gaya shama se kyu kiya khoon masoom ka,
Shama boli, parwana jawani ke nashe mai joom raha tha,
Mere aagey peechey ghoom raha tha,
Khoon na karti to kaya karti,
Bhari mehfil mai mujhe choom raha tha"

"Kuch aur Baat Hoti"

har kadam gar saath tera hota to kuch aur baat hoti,
baahon mein teri gar mera wajood hota to kuch aur baat hoti….

gairo.n ko de rahe thy wo bhar bhar ke jaam firaq dili se
Humey nazro.n se hii pilatey to kuch aur baat hoti…

Gir gir ke sambhal rahi hoon main raahey-ishq mei.n,
wo thaam lete gar mera haath to kuch aur baat hoti…

jaane kiyon Uske saath mera rishta be-naam hi raha,
Gar de dete wo benaami ko koi naam to kuch aur baat hoti…

Zamane ka har sitam hans hanske sehte hum,
Gar is se mil jati unhe zaraa sii kushi to kuch aur baat hoti…

Gar na hota koi be-waffa kudha teri kudhai mei.n,
Sab hote jo ba-waffa to kuch aur baat hoti…

“Sunita” mausam-e-bahaar hota har taraf,
gar na hota ehsaas-e-judai to kuch aur baat hoti…

Mujhe tumse door jana nahi tha

Mujhe tujhse door jana nahi tha
Magar loutne ka bahana nahi tha….

Dil to bahut tha ki ruk jau.N do pal
Magar woh tera aashiana nahi tha….

Mai.N kaise batati usey baat dil ki
Abhi us se rishta purana nahi tha….

Sehra ka safar hai abhi door ki baat
Abhi mujhe ashq bahana nahi tha…

kaanch ke dil mei.N armaan le ker
pathroN ke sehar mei.N jana nahi tha....

na de hoti 'sunita' labo.N ko jehmat
jo taqdeer mei.N muskurana nahi tha.....

soz-e-tanhaii

Siyah shab maine gujari jaag-kar,
Yaad teri tadpati rahi shab-bar…

Aayaam-e-afsurda* raha har pal, (udhas-din)
Aankh num hoti rahi shab-bar…

Ek tisnagi* se rahi jisam mein, (pyas)
Saanse sum* pilati rahi shab-bar… (zehar)

Khaab ankhon se koso door rahe,
Neend ban parinda udti rahi shab-bar…

Tujhe raham na aaya mere haal par,
Naam tera bulati rahi shab-bar…

soz-e-tanhai* se hokar pashemaan, (akelepan ka dard)
“Sunita”chhat pe tahalti rahi shab-bar.

"Nahi raha mohabat ka aitbaar humey"

Ek arsay se ankho mai need nahi thi aaye humey,
ishq ne kar diya tha es kadar bekarar humey………..

Ishq ne dosto dikha diye thy kai khaab humey,
acchey bhalley thy kar gaya tha bekarar humey…….

Usne pyar se appni mahfil mai tha bulla liya humey,
bin mangey patjad mai mil gaye thi bahar humey…..

Uske saath gujarney ko thy do pal miley humey,
zindgi bhar reheyga phir do pallo ka intjaar humey…

Kuch na tha yaad uski bahho mai khokar humey,
ajj bichad unse ankhy kar rahi hai ashkbaar humey…

Woh kahty thy ki jaan se jayada chatey hai humey,
ab samaaj ke rasmo mai ulaj nahi karty pyar humey…

Bhoolney wale kabhi royega tu bhi yaad karke humey,
tumne diye hai mohabat mai gum be-shumaar humey…

Tumne be-waffeai karke kar diya hai badnaam hamey,
Nahi raha hai “Sunita” ab mohabat ka aitbaar humey….

“Ab Hai Saheed ki Bewa Kahlati”

Ek thi ladki bholi – bhali,
Gore –gore gaal thy uske,
Thy Kaale –kaale baal,
Heerni jaise aankhe uski,
Morni jaise thi chaal……

Hans hans kar jab baatey thi karti,
Sabke dil ko thi woh harti,
Motiyo.n jaise daant thy uske,
Gulab ki pankudi jaise honth…..

Woh mad-mast joban ki thi malik,
Har ladka tha uska diwana,
Par woh aapne khayalo.n mein hi rahti,
Kisi rajkumar ki baatey thi karti……

Ek din uska sapna sach ho gaya,
Ek FOJI* tha usko mil gaya, “Army Officer”
Uske haatho.n mein mehndi lag gaye,
Woh foji ki thi dulhan ban gaye…..

Aankh mein kaajal, maang sindoor,
Haath mein chudda pao.n mein payal,
Uski har adda thi nirali,
Foji ke dil ko karti thi gayal…..

Din beetey mahine beetey,
Aise hi beet gaye 12 saal,
Foji tha sarhad par gaya,
Kudha se kahti uska rakhna khayal…..

Ek din dakiya ek chitthi laya,
Jo likha tha woh pad sunaya,
Us ladki ki thi duniya ujhad gaye,
Foji ko dushman ki thi goli lag gaye….

Gora rang siyah ho gaya,
Ulaj gaye thy baal,
Ankho.n se aansu bahtey hai,
Na dekha jata hai uska haal…..

Safed sarri mein ab who lipti rahti hai,
Akele hi kuch bolti rahti hai,
“Sunita” ki pyari bahen hai woh,
ab hai saheed ki bewa kahlati…..!

"Tanhai mein woh yaad aane lagge"

Tanhai mein woh yaad aane lagge
jinhe bhulne mein zamane lagge.....

chhipake chehra humse woh
mujhe hasti dekh rulane lagge.......

sun ke aahat qadmon ki unke
dard saare bhool jaane lagge......

baithe woh pehlu mein gair ke aise
ki jaise mujhe hon jalane lagge.....

dekhke jalwa mere husn ka woh
baahon mein meri laut aane lagge.....

karke yaad beeti baaton ko "Sunita"
phir jee ko apne hum behlane lagge.......

"Dil mein jo aaya woh likh diya"

dil mein jo aaya woh likh diya
kabhi milan kabhi judai likh diya......

pehli baar mile the yahan hum
un raahon ka naam manzil likh diya.....,

kiya tune tar tar mera daman
ja maine bhi tujhe bewafa likh diya......

ishq ka janoon thaa ya deewanapan
jo apni saanso ko tere naam likh diya......

teri judai hai ab mukaddar mera
is zindagi ka naam intzaar likh diya.......

dard-e-mohabat ke siva shayari hai kya
ja tera naam hamne gazal likh diya.....

dafan ho gayi har aarzoo seene mein
'sunita' ne jabse tujhe sanam likh diya......

"Kafan par likh kar mera naam de diya"

Aapno ne hi jab humey elzaam de diya,
Ba-waffa thy hum be-waffa naam de diya…

Dard chuppa liya aur honth see liye,
Usne humey rukhsati ka paigaam de diya…

Kabhi to tadap uthTa tha mere dard se,
Usi ne dard se chalkta ek jaam de diya…

Kho gaye kahi woh din raat mohabat ke,
Tanhaeyo ka tohfa humey enaam de diya…

Na ab koi sapna aayega en palko mai.n
Ankho ko umr bhar roney ka kaam de diya…

“Sunita” to phele hi ek zinda laash thi dosto,
ab kafan par likhkar usne mera naam de diya…

aaj unse mulakaat ka wada hai dosto.....

aaj unka humse mulakaat ka wada hai dosto
aakar humme gale lagane ka wada hai dosto....

wo aiynge to mehak utthengi sooni raahain
un raahon me palkain bicchane ka wada hai dosto.....

aaj niklenge do do chaand ek aasman me or
dooje ka mere ghar aane ka wada hai dosto.....

tamaam raat karoungi jee bhar unka deedar
shab bhar pyaar barsane ka wada hai dosto......

sard par chukke armaan phir machal jaiynge
unka mujhe yu aang lagane ka wada hai dosto......

keh do sannaato se khamosh rahain shab bhar
kush sunn ne kush sunane ka wada hai dosto......

barane ko unke dil kee betaabiyan 'sunita'
unme hee kahin kho jane ka wada hai dosto.....

"Teri yadoon ka suraj dheerey dheerey dhalta gaya"

Teri yadoon ka suraj dheerey dheerey dhalta gaya,
Dil par jamma dard dheerey dheerey pigalata gaya

Un anjaan raahoN ki koi bhee manzil na thi,
Jin raahoN par mai.n dheerey dheerey chalta gaya

Do jisam ek jaan thay hum phir kiyon tera daman
mere Haathon se dheerey dheerey fisalata gaya.....

Socha thaa rok lungi chaand ka safar aaj ki raat
bedard chaand bhi dheerey dheerey dhalta gaya....

intjaar mai.n tere buj gaya har chiraag umeed ka
Kambakhat ye dil mera dheerey dheerey jalta gaya...

Teri berukhi ki tasveer jaise jaise samney aati gayii
“Sunita” ke pyar ka dum dheerey dheerey nikalata gaya

"Woh gujrey pal yaad attey hai"

“Dil na janey kyu ajj-kal udhas rahta hai har pal,
gujarey huey palo ko ab talashta hai har pal,
woh pal jinkey liye ab hum martey hai har pal,

uski battey uski yaddey dafan kar li hai ab es dil mai,
un yaddo se paida huey hai aansu aahey ab es dil mai,
dard ghar banna kar rahney lagga hai ab es dil mai,

hastey dekh zamana aabaad samjta hai humey,
nazar nahi aata kisi ko ru-ba-ru jo satata hai humey,
uskey sitam ka ek ek pal ab tadpata hai humey,

dil talashta hai phir us bholi se surat ko har pal,
jo pal hasey thy uske saath unko yaad kartey hai har pal,
uski yaddey barso se es dil par raaj karti hai hyu har pal,

esi jahan mai rah kar usko paaya aur khoya hai humney,
us be-waffa ki yaddo ko sadha dil se lagaya hai humney,
janey kyu us par appni har kushi ko lutaya hai humney,

gaye waqt ki tarah dosto woh lout ke phir aa na sakey,
aur hum uske yaddey es dil se kabhi mitta na sakey,
kushi ki mahfilo mai bhi “Sunita” kuad ko bahla na sakey”

aaj unse mulakaat ka wada hai dosto.....

aaj unka humse mulakaat ka wada hai dosto
aakar humme gale lagane ka wada hai dosto....

wo aiynge to mehak utthengi sooni raahain
un raahon me palkain bicchane ka wada hai dosto.....

aaj niklenge do do chaand ek aasman me or
dooje ka mere ghar aane ka wada hai dosto.....

tamaam raat karoungi jee bhar unka deedar
shab bhar pyaar barsane ka wada hai dosto......

sard par chukke armaan phir machal jaiynge
unka mujhe yu aang lagane ka wada hai dosto......

keh do sannaato se khamosh rahain shab bhar
kush sunn ne kush sunane ka wada hai dosto......

barane ko unke dil kee betaabiyan 'sunita'
unme hee kahin kho jane ka wada hai dosto.....

"Koi majboor na ho"

“KOI MAJBOOR NA HO”

meri yaad tujhe kabhi aaye na,
kabhi koi gum tujhe sataye na...
meri zindgi be-rang hai to kaya,
dua hai teri har raat purnoor ho….!

Mujhe be-waffa kabhi kahna na,
Meri waffa par sadha yakeen ho,
Tujse door bhi rah luNgi mai.n,
hamarey dil kabhi na door ho….!

Dard to phele hi thaa zindgi mai.n,
Tere dard ne aur eejaafa kar diya....
Jis tarah majboor hai “Sunita”
Dua hai aise koi na majboor ho….!

"Khamosh rahi KUDHA ki tarah"

Zindgi mai.N kuch na tha tanhayeo ke sibha,
Aise mai.N uska pyar milla tha ek dua ki tarah…..

Pyar ki kushboo se mehka tha dil ka chaman,
Woh saanso. mai.N samaya tha behki hawa ki tarah…..

Uski umeed par maine thukra diya tha sabko,
Kaash woh bhi nibhata waffa ba-waffa ki tarah…..

Woh mera nahi tha par tha mujhe sabse aziz,
Usko chaha tha maine aapne kudha ki tarah…..

Raahey-mohabat mai.n akela chhorr gaya mujko,
Jo kehta tha tujhe poojta hu aapne kudha ki tarah…..

“Sunita” ko lakho gum thama diye mahboob ne,
thi ensaaN par khamosh rahi kudha ki tarah…..

"Sochti hu ki mere alfaaj kaha kho gaye

"Sochti hu ki mere alfaaj kaha kho gaye,
mere mehboob hum tum juda ho gaye,

dil par chad chukey thy teri mohabat ke rang,
jahan mai hum tere naam se mashoor ho gaye,

appni pahchaan ab nahi rahi meri,
sochti hu kyu hum appse juda ho gaye,

umr bhar rougi mai teri waffo ki yaad mai,
tu nahi jaanta, teri waffa ke jakhm kitney gahrey ho gaye.

"ab milli hai zindgi se zindgi"

jab kabhi milti hai zindgi se zindgi,
yu lagta hai milti hai kisi ajnabi se zindgi….

Aapna dil bhi ab nahi lagta hai mera,
Jab se maine ki hai us ajnabi ki bandgi….

Dekh kar aaina sajna kab ka chorh diya,
Jab se paye hai uski waffa mai sadhgi….

Rahey waffa mai.n mujhe woh der se milla,
Dar hai kudha ab cheen na le meri zindgi….

Bin pankho ke mai.n aasman mai udney lagi,
Jab usne pakad kar hath kaha muje apni zindgi..

Uski kushiya meri chahate ban gaye hai.n,
Uski har kushi puri karugi dekar apni zindgi….

Tanhayeo mai.n dafan ho jati “Sunita” dosto,
Woh mila to lagta hai, ab mili hai zindgi se zindgi…

"milney par ek geet pyar ka gaaya na gaya"

Jiske aane ki umeedo mai gujarey thy lamhaat,
Jab woh paas aakar bethy to bulaya na gaya….

Socha tha milney par karugi bahut si baatey,
Jab woh miley to haal-e-dil bhi bataya na gaya..

Socha tha uske izhaar par sataugi, tadpaugi usko,
Jab usne haath pakda to mujse chudaya na gaya…

Bahut arzoo thi ki us main hi samma jau mai,
Par jab woh kareeb aaye to galey lagaya na gaya…

Aapne pyar se usko main madhosh kar deti magar,
Par jab miley to hontho se ek jam pilaya na gaya..

Uske liye likhi thi “Sunita” ne gazley aur nazmey,
Par milney par ek geet pyar ka gaaya na gaya….

“Koi na aayega jakham sahlaney ke liye”

Naya pyar naye ahsaas naya ashiaana ho mubarak tumko,
Teri be-waffeai hi bahut hai humey rulaney ke liye…………

Chand yaadey aur aansu **** gaya woh meri ankho main,
Wahi shakas jo aaya tha mujhe aapna bananey ke liye….

Jab se gaya hai mujhe **** ke phir lout ke aaya hi nahi,
Par tanha dekh teri yaadey aa jatti hai bahlaney ke liye…

Tu to do kadam bhi raahey-waffa mai chal na sakka,
Kudha se tujhe manga tha saath nibhaney ke liye…..

Mere hi shahar mai banna liya hai tumne aashiyaa,
Kaya koi kami rah gaye thi mujhe sataney ke liye……

Tamam umr ab esi dard ke saath jeena hai mujhe,
Yehi to ek sahara hai ab zindgi beetaney ke liye…..

Mujhe bhi aapney hi paas bulla le ‘eh mere kudha’
Kyu zinda ****a zamaney ki thokrey khaney ke liye….

“Sunita” koi na samaj payega tere be-jubaan dard ko,
na hi koi aayega kabhi tere jakham sahlaney ke liye….

"jab koi afsana waffa ka dohrata hai"

Jab bhi koi afsana aapni waffa ka dohrata hai,
Eh mere mahboob tu mujhe bahut yaad aata hai…

Kushiya to kabhi mujhe naseeb hi nahi hue hai,
Humdard bankar har koi naya dard thamma jata hai…

Dunia wale mujhe ek be-jaan pathar samjtey hai,
Jo bhi aata hai dil par ek thokar si lagga jata hai..

Teri har baat par jab hum yakeen kartey hai,
Phir kaya jatlaney ke liye tu kasam khata hai…

Janti hu ki tu mujhe bahut shidat se chahta hai,
Phir kyu lagta hai ki tu mujse door hua jata hai…

Tere liye dunia ke sab rishtey **** diye hai,
Ab tu hi mujse apna dhaman chudaey jata hai….

Teri mohabat ne mujhe bahut dard diye hai,
Phir kyu mera dil tujhe duaaey diye jata hai…

Kuad be-waffa ho tum rusbaa mujhe kiya hai,
Dekh ab bhi ‘Sunita’ ki ankho mai kaun nazar aata hai…

"woh be-waffa na lagey hai"

Woh janey kyu janey tamana sa lagey hai,
Appna nahi hai par appna sa lagey hai…..

Kabhi to dil se bahut door sa lagey hai,
Kabhi to mujhe appna saaya sa lagey hai….

Kabhi to woh mujhe be-waffa sa lagey hai,
Kabhi pyar ka chalakta sagar sa lagey hai….

Woh qatal bhi karey to qatil na lagey hai,
Woh jahar bhi de to dawa sa lagey hai……

Woh har baat par dil mera toodey hai,
Phir bhi mujhe bahut pyara sa lagey hai…

Har mod par daman chudata lagey hai
Phir bhi jeeney ka sahara sa lagey hai…

Woh har baat par be-rukhi si karey hai,
Phir bhi mujhe apna diwana sa lagey hai….

Janey kaya hai uski udhas aknho mai ‘Sunita’
muh chuppa ke bhi jaye to be-waffa na lagey hai..

"beeti baatey yaad dilla gaya koi"

Thursday, August 21, 2008

Mujhe pyar se appna banna gaya tha koi,
Suni ankho ko sapne dikha gaya tha koi,

mere na-daan dil ko bahka gaya tha koi,
Meri suni dil ki bagiya mehka gaya tha koi,

Appni bahki si garm sanso ki tapish se,
meri sanso ko bhi dahka gaya tha koi,

bhar pyar se mujhe appni bahho mai,
mere sarey gum mitta gaya tha koi,

us shakas ko mujse bicdey arsa ho gaya,
ajj mahfil mai uska naam suna gaya tha koi,

uska naam na aaya barso se jubbn pe meri,
ajj uski yaad ki shamma jalla gaya tha koi,

appne naam se pahchaan bana chuki thi mai,
ajj phir meri pahchaan mitta gaya tha koi,

na jayege gujri hue galiyo mai ab hum,
ajj phir un galiyo mai bulla gaya tha koi,

bhool chuki thi ‘Sunita’ un beeti hue batto ko,
ajj phir un batto ki yaad dilla gaya tha koi…….

Sheeshy sa najuk agar mera nadaan dil nahi hota..!

“Sheeshy sa najuk agar mera nadaan dil nahi hota,
To mere mahboob ke hattho mai bhi pathar nahi hota,

Agar ishq humney ek be-waffa se kiya nahi hota,
To ashko ka dariya aankho se bahaya nahi hota,

Agar kuad se jayada yakeen uspar kiya nahi hota,
To be-waffai ka jahar bhi humney piya nahi hota,

Bhalla paaya hai kahi kisi ne ishq ki manzil ko,
Banzaro ka to kahi koi tikana hi nahi hota,

Kahi to ek nazar mai hi ho jatta hai pyar,
Kahi umr bhar saath rah kar bhi nahi hota,

Pyar se hi banta hai ghar ek mandir ki tarah,J
aha rahtey ho bewaffa woh makaan ghar nahi hota,

Be-waffi ka jahar pilaya hai mujhe mere mahboob ne,
Ab kaise kahu mai ki appno ke hattho mai jahar nahi hota,‘

Sunita’ Jis dil mai namey mohabat nahi hota,
kasam kudha ki us dil mai kudha bhi nahi hota”

"Na jao duniya **** ke hum abhi milney attey hai"

Teri yaddo mai hum jahan ko bhooley jatey hai,
Bhoolney waley kabhi hum bhi tumhe yaad aatey hai?

Jaha bhi jatey hai tere hi fasaney yaad aatey hai,
Kasak ban kar who taraney yaad aatey hai,

Umr bhar yu hi teri di hue yaddo mai jeena hai,
Bhoolney waley kabhi tumhe bhi gujrey pal yaad aatey hai?

Hizar ki shaam ko hum teri tasveer banna letey hai,
Phir us se guftgu karney mere gum bhi attey hai,

Mere dard mai ek tum hi ho jo humdard nahi bantey mere,
Vaise ab humdardi jataney mere rakeeb bhi aatey hai,

Teri sab yaddey samet kar hum saath liye jatey hai,
Akhri hichki aaney ko hai, aur humey beety pal yaad aatey hai,

Dil ko ab bhi yeh umeed hai ki shayad tum ab hi yeh kah do ki,
Na jao duniya **** kar hum abhi tumse milney aatey hai,

dard jab had se guzar jaye to kya kare...!

“Dil ka dard jab haad se gujar jaye to kaya karey,
Tumey yaad karey ja us kudha ko yaad karey,

Jab yeh nadaan dil tadpey ki uska didaar karey,
To ek bar jo uski tasvir dekhi to pahro dekhtey rahey

Na-kaam mohabaat ka jikar karey to kis se karey,
Kabhi koi milla nahi jis se appna dard baanta karey,

Dua hai kudha se ki na-kaam mohabaat kisi ki hissey na karey,
Ja phir naddan dillo mai mohabat ka diya jagaya na karey”

Hum tum juda ho gaye....!

"Sochti hu ki mere alfaaj kaha kho gaye,
mere mehboob hum tum juda ho gaye,

dil par chad chukey thy teri mohabat ke rang,
jahan mai hum tere naam se mashoor ho gaye,

appni pahchaan ab nahi rahi meri,
sochti hu kyu hum appse juda ho gaye

,umr bhar rougi mai teri waffo ki yaad mai,
tu nahi jaanta, teri waffa ke jakhm kitney gahrey ho gaye.