“Ab Hai Saheed ki Bewa Kahlati”

Saturday, August 23, 2008

Ek thi ladki bholi – bhali,
Gore –gore gaal thy uske,
Thy Kaale –kaale baal,
Heerni jaise aankhe uski,
Morni jaise thi chaal……

Hans hans kar jab baatey thi karti,
Sabke dil ko thi woh harti,
Motiyo.n jaise daant thy uske,
Gulab ki pankudi jaise honth…..

Woh mad-mast joban ki thi malik,
Har ladka tha uska diwana,
Par woh aapne khayalo.n mein hi rahti,
Kisi rajkumar ki baatey thi karti……

Ek din uska sapna sach ho gaya,
Ek FOJI* tha usko mil gaya, “Army Officer”
Uske haatho.n mein mehndi lag gaye,
Woh foji ki thi dulhan ban gaye…..

Aankh mein kaajal, maang sindoor,
Haath mein chudda pao.n mein payal,
Uski har adda thi nirali,
Foji ke dil ko karti thi gayal…..

Din beetey mahine beetey,
Aise hi beet gaye 12 saal,
Foji tha sarhad par gaya,
Kudha se kahti uska rakhna khayal…..

Ek din dakiya ek chitthi laya,
Jo likha tha woh pad sunaya,
Us ladki ki thi duniya ujhad gaye,
Foji ko dushman ki thi goli lag gaye….

Gora rang siyah ho gaya,
Ulaj gaye thy baal,
Ankho.n se aansu bahtey hai,
Na dekha jata hai uska haal…..

Safed sarri mein ab who lipti rahti hai,
Akele hi kuch bolti rahti hai,
“Sunita” ki pyari bahen hai woh,
ab hai saheed ki bewa kahlati…..!

0 comments: