"Kafan par likh kar mera naam de diya"

Saturday, August 23, 2008

Aapno ne hi jab humey elzaam de diya,
Ba-waffa thy hum be-waffa naam de diya…

Dard chuppa liya aur honth see liye,
Usne humey rukhsati ka paigaam de diya…

Kabhi to tadap uthTa tha mere dard se,
Usi ne dard se chalkta ek jaam de diya…

Kho gaye kahi woh din raat mohabat ke,
Tanhaeyo ka tohfa humey enaam de diya…

Na ab koi sapna aayega en palko mai.n
Ankho ko umr bhar roney ka kaam de diya…

“Sunita” to phele hi ek zinda laash thi dosto,
ab kafan par likhkar usne mera naam de diya…

2 comments:

rahul said...

Sunita ji humne apki sari nazam padi hai
bahut achhi lagi bilkul dil ko chhu lene wali hai----waise to mai
study kar raha hu par kahte hai ki jab dil pe chot lahti hai to andar ki awaz sher ke alfazo me bahar aati hai
ap aise hi likte rahiye byeeeee

taNhaa ziNdagee..! said...

namaskaar rahul jii...accha laga jaan kar ki aapko hamare ahsaas pasand aaye...jii aapne sahi kaha, bina dard ke takleef nahi hoti....!

shukriya