"Yaad Aaye Bahut"

Saturday, August 23, 2008

“toot kar jo hum bikhrey to gabraye bahut,
teri bahho.n ke sahaarey yaad aaye bahut,

hatheli par rakh ashq, jo tumne choom liya,
hua afsos! Ab tak yeh moti ganvaye bahut,

muskil mein kyu koi haath na thaam saka,
kahne ko to dost humne bhi banaye bahut,

jane kaya tha uski udhaas si aanko.n mein,
woh jab bhi yaad aaye hain, rulaaye bahut,

umr-e-jawani apni kyuN tanha hi beet gaye,
yeh khalish abhi tak hai dil dukhaye bahut,

mazhabi junoon mein, sarhad bana daalii,
Phir apne faisley pe haiN pachtaye bahut,

kis kis ko batauN apnii udhaasi ka sabab,
ki “Sunita” ko ek pardesi yaad aaye bahut.

2 comments:

Nalin Mehra said...

me ab kya likhun, bas yun samajh lijiye, ki aaj tak maine jitni bhi kavitayein ya gazhlein padi hai, yeh un sab me se sabse khubsurat hai, mere dil ko andar tak choo gayi, pad ke apne dil ka sa hal laga.....

rahul said...

hiiiiiiii mam this very googd poem