"Kuch aur Baat Hoti"

Saturday, August 23, 2008

har kadam gar saath tera hota to kuch aur baat hoti,
baahon mein teri gar mera wajood hota to kuch aur baat hoti….

gairo.n ko de rahe thy wo bhar bhar ke jaam firaq dili se
Humey nazro.n se hii pilatey to kuch aur baat hoti…

Gir gir ke sambhal rahi hoon main raahey-ishq mei.n,
wo thaam lete gar mera haath to kuch aur baat hoti…

jaane kiyon Uske saath mera rishta be-naam hi raha,
Gar de dete wo benaami ko koi naam to kuch aur baat hoti…

Zamane ka har sitam hans hanske sehte hum,
Gar is se mil jati unhe zaraa sii kushi to kuch aur baat hoti…

Gar na hota koi be-waffa kudha teri kudhai mei.n,
Sab hote jo ba-waffa to kuch aur baat hoti…

“Sunita” mausam-e-bahaar hota har taraf,
gar na hota ehsaas-e-judai to kuch aur baat hoti…

0 comments: